Hazrat Muhammad Zahid
Rahmatullah Alayh
Aap Bukhara ke ilaqa Hisaar ki nawahi bastii Wakhsh mein 14 Shawaal 856 bmtabq 1448 eswi ko is dunya e danni mein peda hue. Aap ke waldain sahib e taqwa Aur buzurag insaan thay. Isi liye Hazrat Khwaja Muhammad Zahid Rahmatullah Alayh ki tabiyat mubarak ibtida se hi darweshana rahi .
Ibtidayi taleem ap ne waalid e majid se hi haasil ki. Chunkay aap Hazrat Khwaja Yaqoob Charkhi Rahmatullah Alayh ke nawasa hain, is liye aap ne tareqat ke ibtidayi asbaaq yani zikar ki taleen aap ke kisi khalifa se haasil ki thi. Bawajood koshish ke un kaam naam maloom nah ho saka. Is ke baad aap riyazat o mujahida mein mashgool hogaye .
Aap ke andar anwaraat e elahia ko jazb karne ki be panah qowat peda ho gayi thi. Isi douran aap ke kaan mein Hazrat Khwaja Abaidullah AherarRahmatullah Alayh ke faiz ka awaaza pouncha to aap ne Hisaar se Samerqand ki taraf rakhat e safar baandha. Wahan pahonch kar aap muhalla Wasaray mein qiyam pazeer hue. Yahan se Hazrat Khwaja Abaidullah Aherar Rahmatullah Alayh ki khanqah alia tqriban chay (6) meel ke faaslay par thi .
Hazrat Khwaja Abaidullah Aherar Rahmatullah Alayh ko bazarea kashaf maloom howa kay Hazrat Molana Muhammad Zahid Rahmatullah Alayh hamari mulaqaat ke liye a aa rehay hain to aap ne dil mein iradah farmaya kay hamein agay jaakar un ka istaqbaal karna chahiye. Halaank sakht garmi par rahi thi aur dopehar ka waqt tha. Aap ne apne khadmeen se farmaya hamari sawari ka uont lao aur aap is par sawaar hue aur murideen ko sath le kar chal parre .
Kisi ko majaal nahi thi kay istafsaar karta kay Hazrat is waqt sakht garmi ke aalam mein kahan tashreef le ja rahay hain. Aap ne bhi uont ko is ke haal par chhor dya kay jahan chahay chala jaye. Bil akhir uont muhalla Wasaray mein Hazrat Khwaja Muhammad Zahid Rahmatullah Alayh ki qiyam gaah ke samnay tehar gaya. Aap uont se utre, isi asna mein Hazrat Khwaja Muhammad Zahid Rahmatullah Alayh ko bhi maloom ho gaya kay Hazrat Khwaja Abaidullah Aherar Rahmatullah Alayh tashreef laaye hain. Aap beikhtiyaar doray aaye aur Hazrat Rahmatullah Alayh ka istaqbaal kya aur aap ki pabosi ka sharf haasil kya. Is ke baad aap Hazrat Rahmatullah Alayh ko saath le kar andar tashreef le gaye aur khalwat mein jaa kar apne waardaat o mamlaat o maqamat Hazrat Khwaja Abaidullah Aherar Rahmatullah Alayh ki khidmat mein gosh guzar kar diye aur baet honay ki khwahish ka izhaar farmaya. Hazrat Khwaja Rahmatullah Alayh ne aap ko isi waqt baet farma lia aur isi majlis mein aap par aisi tawajah farmai kay tamam manazil tay aur takmeel ke darja tak pohancha diya aur sath hi Khilafat aata karkay aap ko wahein se rukhsat bhi inayat farma de. Yeh dekh kar Hazrat Rahmatullah Alayh ke baaz murideen atash e hasrat mein beikhtiyaar Hazoor ki khidmat mein arz guzar hue kay hamein kayi baras ho gaye khidmat bja late hue, lekin aisi meharbani nahi hui jaisi kay aap ne Hazrat Molana Zahid Rahmatullah Alayh par farmai kay pehli sohbat mein hi nawaz dia . Asp Rahmatullah Alayh ne farmaya kay Molana Zahid Rahmatullah Alayh , chairag, tail aur batii tayyar kar kay hamaray paas aaye thay, hum ne sirf roshan kar kay rukhsat kar diya .
Allah allah ! Khudawand quddoos ne apne pyare bundon ko kya qowat aur istedad aata farmai hai. Yeh waqea Hazrat Khwaja Aherar Rahmatullah Alayh ke azeem tasarruf aur Hazrat Khwaja Molana Zahid Rahmatullah Alayh ke kamaal istedad o qabliyat par dalalat karta hai .
Hazrat Khwaja Abaidullah Aherar Rahmatullah Alayh ne deen ki taraqqi o tarweej ke liye be panah kaam kya aur apne baad apne khulfa ko chorra taakay yeh mission jari o saari rahay. Aap ke khulfa mein sab se barray aur muazzam Khalifa Hazrat Khwaja Muhammad Zahid Wakhsi hain
Hazrat Khwaja Muhammad Zahid Rahmatullah Alayh ne ijazat ke baad tableegh par kamar kis li aur deen ki ashaat mein bharpoor hissa liya aur aik duniya ne aap se faiz haasil kya aur maqamat o kamalaat ke darjaat tay kiye. Aap Hazrat Khwaja Aherar Rahmatullah Alayh ke khalifa azam thay aur aloom zahir o batin ke sath sath fuqr o tajreed aur toheed o mein mqamat e alia par faiz thay .
Aap ke halaat bawajood talaash e bisyaar ke ziyada nah mil sakay. Aap yakam rabiey al-awwal 936 Hijri bmtabq 1529 eswi ko Wakhsh mein hi wasil bahaq hue aur wahein par aap ka mazaar hai, jahan se log fayooz o barkaat haasil karte hain .